Monday, July 28, 2008

[Hindi_Jokes] SHAYERI AGAIN VOL-4

                                    
                                             SHAYERI-VOL-4
 
 
Honth nahi keh sakte jo afsana dil ka,
shayad nazar se wo baat ho jaaye
iss umeed se karte hain intezar raat ka
ki shayad sapno me mulaqat ho jaye
 
Har taraf khamoshi ka saya hai, zindagi me pyaar kisne paya hai
Hum yaadon mein jhoomte hai uski aur zamana kehta hai "dekho aaj phir peekar aaya hai
 
Muskaan tere hothon se kahin jaye na, aansu teri palkon pe kabhi aaye na
poora ho tera har khwab aur jo poora na ho who khawab kabhi aaye na
 
Meri har khata par naraz na hona apni pyari si muskan kabhi na khona,
sukuun milta he dekhkar apki muskurahat ko, mujhe maut bhi aye to bhi mat rona
 
Har sham se tera izhaar kiya karte hai , Har khwab me tera didar kiya karte hai
Diwane hi to hai hum teray Jo har waqt tere milnay ka intzaar kiya karte hai.
 
Jisne humko chaha, use hum chah na sake
Jisko chaha usae hum pa na sake
Yeh samajh lo dil tutne ka khel hai
Kisi ka toda aur apna bacha na sake
 
Yeh such hai doston kisi se pyaar na karna
Kabhi kisi ka aitbaar na karna
Tham ke khanjar apne hi hathon mein
Bedardi se apne dil par vaar na karna
 
Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai
Is Jahan Mein kise Bhala Sacha Pyaar Mila He


Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai


Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai

Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib hun mujhe Intezar mil gaya


                               BEST REGARDS
 
                                                                 Mohammed Atheeq


From Chandigarh to Chennai - find friends all over India. Click here.

__._,_.___
Recent Activity
Visit Your Group
Only on Yahoo!

Star Wars galaxy

Create a profile

and meet fans.

Real Food Group

on Yahoo! Groups

What does real food

mean to you?

Learn to live

a full life with these

healthy living

groups on Yahoo!

.

__,_._,___

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home