Thursday, April 24, 2008

[Hindi_Jokes] Kuch rishte aaise hote hai,

Kuch rishte aaise hote hai,
Jo kabhi bhulaye nahi jaate Hai,
Na koiye bandhan main bandhe hote hai,
Na koiye bandhan unko baand paata hai.

Har khushi main,
Har gum main,
Hamesha yaad aa jaate hai.

Naaz tum kahaan ho.

Kyun rulaati ho mujhe?
Kyun bhool jaati ho mujhe?
Tere he sahare to jee raha hun main.

To phir kyun akela chor kar chale gaye?
Har baat ko chupana ataa tha tumko,
Main roothon to manana ataa tha tumko.
Mujhe samjhana aata tha tumko.

Naaz tum kahaan ho.

Woh Rabb maira dushman hai,
Maire khushi ko dekh na saka kabhi,
Tujhe apne pass bula kar,
Mujhe akela chod diya yahi,

Bachpan ki sab baatein mujhe yaad aati hai,
tumhare saath beetein kar pal yaad aate hai,
har aansoo ki kahani,
har muskaan ki kahani mujhe yaad aate hai.

Ya keh do mujhe bhi marr jaane ko,
Ya maira saath dene aa jayo,

Beech raaste main kyun is tarah akela chorh diya?
kaho naaz...kuch to kaho.....kuch tu kaho naaz......

Naaz tum kahaan ho.

kuch to batlane aa jayo.
kya main jeene ke bahane roz yuhi marta rahunga.
kuch to samjhane aa jayo.
 
Naaz sach bahut tanha hu main,
Laut aao aaj phir bahut tanha hu main,

Tumne kahan tha DOSTI nahi marte,
Isse baat par aaj tak phir zinda hu main,

Maire yaadon main tu shamil hai sajde jaisa,
Rabb se pehle taira naam leta hu main,

Kab tak dardoon ko main sehta rahunga,
Khud se taire baatein karta rahunga,

Us rabb ke ghar ko chodh kar maire pass aa jayo,
Naaz sach bahut tanha hu main,
Laut aao aaj phir bahut tanha hu main...
 
Jab zamane mujhse puchata hai kya lagti thi taire woh jo rabb ke ghar chali gaye.
Kyon rota hai uski yaadon main,
Kyon gumsum rehta hai,
Kyon ukhad jaata hai baaton main,
kyon rabb se dushmani karta hai....

Is rishte ka kya naam du naaz,
na dosti hai yeh,
na mohabbat hai yeh,
na chahat hai yeh,
na dillagi hai yeh.....

bas yeh rishta jo sajda hai ek-dusare ka,
pooja hai ek dusare ke,
dua hai ek dusare ke....
 
Naaz chalo school ki yaadon main saath chale,
Kuch haanshe, kuch khele,

Yaad hai woh tumhara mujhe school jane ke liye aawaz lagana,
aur maira tab bistar se jagana,
woh tumhara gussa karna aur fhir maira sorry kehna.

School main hamara sabse pehle seat par baithana,
aur tumhara maire right main jabardasti baithana.

Hindi ki class main tumhara udaas hokar drawing karna,
aur fhir english ki class main maira udaas hokar us drawing main coloring karna.

Maths ki class main dono ka dimaag lagana,
Histroy ki class main historical character par acting karna,
Geography ki class main chand-taaron ke sapne dekhana.

Lunch time main saath baith kar khana khana,
Woh aaloo ke parathe, woh imali ki chatani.
Woh ice-cream aur churan ka thela,
Woh bhel-poori aur khatti-meethi toffee..

Saath main ghar wapas jana
aur rasthe bhar school ki bakwaas karna.

Yaad aaya naaz... school ki yaadein...


Be a better friend, newshound, and know-it-all with Yahoo! Mobile. Try it now.

__._,_.___
HAMARA PYARA PYARA WEBSITE JOIN KARNA NA BULE

HTTP://HINDIJOKES.INFORME.COM (HINDI JOKES FORUM FUNNY PICTURES)                                  
HTTP://GROUPS.YAHOO.COM/GROUP/HINDI_JOKES (JOKES GROUP FUNNY PICTURES)      
HTTP://WWW.J4JOKES.COM (JOKES FORUM BLOG FUNNY PICTURES FREE DHAMAKEDAR ONLINE GAMES.)               
Recent Activity
Visit Your Group
Only on Yahoo!

World of Star Wars

Meet fans, watch

videos & more.

Popular Y! Groups

Is your group one?

Check it out and

see.

All-Bran

10 Day Challenge

Join the club and

feel the benefits.

.

__,_._,___

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home