~*~Tumhare Naam Karta Hoon~*~
Mein Apna Ajj Apna Kaal Tumhare Naam Karta Hoon
Mein Is Jeevan Ka Har Pal Tumhare Naam Karta Hoon
Mera Guzra Hua Kaal To Mere Mazi Ka Hisah Hai
Mein Apna Ajj Apna Kaal Tumhare Naam Karta Hoon
Khizain, Sardian, Garmi, Baharein, Barishein, Jara
Mein Har Mosaam Ka Har Har Pal Tumhare Naam Karta Hoon
Tumhare Dukh, Udasi, Gham, Sabhi Ranj-o-Alam Lekar
Mein Yah Khushion Bhari Chagal Tumhare Naam Karta Hoon
Sitare Asmaan Ke Sab Tumhari Mang Mein Bhar Kar
Shaab-e-Tera Ka Sab Kajol Tumhare Naam Karta Hoon
Tumhare Bin Yah Har Aik Pal Mujahy Bechain Rakhta Hai
Mein Apna Dil Hai Jo Bekal, Tumhare Naam Karta Hoon
Barasta Bheegta Mosaam Hai Kamzori Meri Lakin
Mein Yah Sawan, Ghatta, Badal Tumhare Naam Karta Hoon.
Dekhay Huay Kissi Ko Buaht Din Guzar Gay
Is Dil Ki Bebasi Ko Buaht din Guzar Gay
Har Shaab Chaaton Par Chand Utarta To Hai Magar
Is Ghar Mein chandni KoBuaht Din Guzar Gay
Ko Jawaz Dhoond Ghaam Nashanaz Ka
Bewajah Bekali Ko Buhat Din Guzar Gay
Abb Tak akele Pan Ka Musalsal Azzab Hai
Duniya Se Dosti Ko Buhat Din Guzar Gay
Teri Rafaqatein To Muqadar Mein Na Thin
Abb Apni Hi Kammi Ko Buaht Din Guzar Gay
Muddat Hui Hai Toot Ke Roya Nahi Hoon Mein
Us Chain Ki Ghari Ko Buhat Din Guzar Gay Hain
Jo Itebar Zakham-e-Hunar Ne Atta Kiya
Danish Who Shairy Ko Buhat Din Guzar Gay
Jab Seena Gham Se Bhojal Ho Aur Yaad Kissi Ki Atti Ho
Tab Kamre Mein Band Ho Jana Aur Chupke Chupke Ro Lena
Jab Ankhein Bagi Ho Jain Aur yaad Mein Meri Bhar Aain
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chupke Chupke Ro lena
Jab Palkein Karab Se Mondi Ho Aur sab Samjhein Tum Sote Ho
Tab Moun Par Takeya Rakh Lena Aur Chupke chupke Ro Lena
Yah Duniya Zalim Duniya Hai, Yah baat Buhat Phelay Gi
Tum Sab Ke Samne Chup Rehna Aur Chupke chupke Ro Lena
Jab Barish Chera Dho Dale Aur Ashk Bhi Boondein Lagte Hon
Who Lamha Hargiz Mat Khona Aur Chupke Chupke Ro Lena
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home