Umeed Woh subah kabhi to aayegi In kaali sadiyon ke sar sey jab raat ka aanchal dhalkega Jab dukh ke badal pighalengey jab sukh ka saagar jhalkega Jab ambar jhoom ke nachega jab dharati naghame gayegi Woh subah kabhi to aayegi... Jis subah ki khaatir jug jug sey hum sab mar mar ke jeeten hain Jis subah ke amrit ki dhun mein hum zahar ke pyaale peeten hain In bhuki pyaasi ruhon par ik din to karam farmayegi Woh subah kabhi to aayegi... maana keh abhi terey merey armanon ki qimat kuch bhi nahin Mitti ka bhi hai kuch mol magar insanon ki qimat kuch bhi nahin Insanon ki izzat jab jhutey sikkon mein na toli jaayegi Woh subah kabhi to aayegi... Daulat ke liye jab aurat ki ismat ko na becha jayega Chaahat ko na kuchala jayega, izzat ko na becha jayega Apney kaaley kartuton par jab yeh duniya sharmaayegi Woh subah kabhi to aayegi... Beeten-gey kabhi to din aakhir yeh bhuk ke aur bekaari ke Tooten-gey kabhi to but aakhir daulat ki ijarahdari ke jab aik anokhi duniya ki buniyad uthai jayegi Woh subah kabhi to aayegi... Majboor burhapa jab sooni raahon ki dhool na phankega Maasoom larakpan jab gandi galiyon mein bhuk na mangega Haque mangne walon ko jis din suli na dikhaee jayegi Woh subah kabhi to aayegi... Faqon ki chitaaon par jis din insan na jalayen jayengen Seeney ke dahakatey dozakh mein armaan na jalaye jayengey Yeh narak sey bhi gandi duniya, jab swarg banaee jayegi Woh subah kabhi to aayegi... | |
--
"Fursat ke kuch lamhe nikal kar,
the kuch sapne sajaye maine,
Bedardo ki iss duniya se chun kar,
the kuch rishte apnaye maine,
Magar waqt ko raas na aayi wafa meri aur,
Ho gaye Paraye woh mujhse,
thhe kabhi jo apne banaye maine"
That's_Arv
નેહા પરીખ
नेहा परीख
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home