[Hindi_Jokes] Hone Ko Hai Shaam Ghar Chala Jaa
Hone Ko Hai Shaam Ghar Chala Jaa ///
Mumkin To Nahi Magar Chala jaa
Loti Nahi Taairon Ki Sangat ///
Jaagi Nahi Rah guzar Chala Jaa
Ab tak to Hawa Thami Hui Hai ///
Saakt Hain Abhi Shajar Chala Jaa
Kia Haal Bana Lia Hai Apna ///
Kuch Apna Khayal Kar Chala Jaa
Phir Koi Samait ta Nahi Hai ///
Aise Na Ho Darbadar Chala Jaa
Yaan Khaima-e-Aafiyat Nahi Hai ///
DUniya Hai Jidhar, Udhar Chala Jaa
Ye Saari Hi Khush Kharamiyan Hain ///
Koi Nahi Hum Safar Chala Jaa
Ab Aur Hawain Chal Rahi Hain ///
Ab Kon Hai Naamabar Chala Jaa
Maana Ke tu Jaanta Hai Sab Kuch ///
Phir Bhi Mere Be Khabar Chala Jaa
Aagay Bhi Hain Manzaron Ke Jhurmat ///
Jaa Aie Mere Khush Nazar Chala Jaa
Ab Jang Ka Jo Bhi Faisla Ho ///
Main Hoon Na Mahaaz Per Chala Jaa
Ab Jaa ke Hua Hai ishQ tujh se ///
Ab tu Mujhe Chod Ke Chala Jaa
ganeshkumble11@
http://hindijokes.
http://groups.
http://groups.
Dont Miss Ganesh Kumble's online hindi forum
http://hindijokes.informe.com
To Get
Hindi Jokes funny sms shayries pictures Funny Movies.
Earn your degree in as few as 2 years - Advance your career with an AS, BS, MS degree - College-Finder.net.
Change settings via the Web (Yahoo! ID required)
Change settings via email: Switch delivery to Daily Digest | Switch format to Traditional
Visit Your Group | Yahoo! Groups Terms of Use | Unsubscribe
__,_._,___
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home